Jagah Chaahta Hu Kuch Rishto Ko Jine Ke Liye
Hathon Mai Bhandhna Nahi Chaahta Unhe Jine Ke Liye
Raste Nikal Hii Ja_enge Jo Sochoge Jine Ke Liye
Kisi Masiiha Kii Zarurat Nahi Tumhe Jine Ke Liye
Har Pal Ka Saath Ho Zarurii Nahi Jine Ke Liye
Waqt Sa Gujar Jata Hai Har Koii Khud K Jine K Liye
Har Karwat Par Khwab Tao Tut Hii Jate Hai
Kafan Se Lipte Pade Rahte Hai Kuch Sach Jine K Liye
Kya Samjhta Hai ‘Sanju’ To Jindagi Ko
Yahan Pal Pal Marna Padta Hai Jine K Liye