Jagaah Kahan Hai Tasawur Jahaan Nahi Jataa
Bashar Talaashney Tujhey Kahaan Nahi Jataa
Hamney Daryaaft Kiya Hai Hazaar Baar Magar
Tery Shahar Ko Koye‚  Kaarwaan Nahi Jaataa
Log Kahtey Hain “Log Mulk-E-Adam Jaatey Hain
Mujhko Lagtaa Hai Ki Koye Kaheen Nahi Jataa
Karam Kiyaa Hai Duaa Ko Jubaan Bakhshee Hai
Wagarnah Yaar Sarey Aastaan Naheen Aataa
Azal Sey Intzaar Hai Mujhey Qayaamat Kaa
Sunaa Hai Peishtar Woh Mehrabaan Naheen Aataa
Safaa-E-Kalb Key Chakkar Mein Maykadaa Bhi Gayaa
Har Akeiley Key Liye Rahnumaa Naheen Aataa
Ajeeb Aahteyn Aateen Hain Aasmaanoun Sey
Nazar Mein Koyee Magar Kahkashaan Naheen Aataa
‘Abd’ Gunaah Kiye Jaa Rahaa Hai Beykhud Hai
Lab Hain Khaamosh Kaheen Beyjubaan Naheen Jaataa