Jab Nazar Band Hua Shams To Shab Ne Ye Kaha
Aap Mehmaan Hai Ik Raat Ke Kooche Me Mere
Mujhko Bhee Tab Ata Keejiye Din Ke Maanind
Main Bhi Chahkoo Kisi Bulbul Ke Tarane Ki Tarah
Dar Ke Sooraj Ne Kaha Chup Bhi Raho Behre Khuda
Apnee Ummeed Ka Izhaar Yu Khulkar Na Karo
Raaz Is Shauq Ka Mehfooz Rakho Seene Mein
Raat Ho, Raat Ki Gehraai Ka Kuch Baas Karo
Ye Hawaa Shab Ko Jo Be-Khaufo-Khatar Chalti Hain
Syaah Sannate Me Shahroon Ka Safar Karti Hain
Haal Har Khwaab Ke Seene Me Raqam Rakhtee Hain
Aur Har Baat Ka Akhbaar Liye Phirtee Hain
Iski Padchaap Hi Ban Jaati Hain Sone Ka Sabab
Kya Tumhe Yaad Nahi Raat Ke Hone Ka Sabab
Hain Pareshaan Sahar Giriyaoo Zaari Ke Siwa
Ulte Pa Firti Hain Fitrat Ki Taiyyari Se Siwa
Din Me Vehshat Hain Hui Fauq Sitam Bikhraa Hain
Shab Munawwar Hain Siyah Subh Ki Taree Se Siwa