Jab Mulaqat Be Irada Thi
Us Main Aasodgi Ziada Thi
Na Tawaqqa Na Intizar Na Ranj
Subhe Hijraa Na Sham Wada Thi
Na Takalluf Na Ehtiyat Na Zaem
Dosti Ki Zabaan Sada Thi
Jab Bhi Chaha Ke Gungunao Use
Shaieri Pesh Pa Fatada Thi
Lal Se Lab Chiragh Si Ankhen
Naak Sitwaa Jabeen Kushada Thi
Hiddate Jaan Se Rang Tanba Sa
Saghar Afroz Mooje Bada Thi
Zulf Ko Hamsiri Ka Dawa Tha
Phir Bhi Khush Qamti Ziada Thi
Kuch To Pekar Main Thi Bala Ki Talash
Kuch Woh Kafir Tank Libada Thi
Apsara Thi Na Hoor Thi Na Pari
Dilbari Main Magar Ziada Thi
Jitni Be Meher Meherban Itni
Jitni Dushwar Itni Sada Thi
Ik Zaman Jise Kahe Qatil
Mere Shane Pe Sar Nihada Thi
Yeh Ghazal Dain Us Ghazal Ki Hai
Jis Main Ham Se Wafa Ziada Thi
Woh Bhi Kya Din The Jab Faraz
Us Se Ishq Kam Aashqi Ziada Thi