Jab Jab Dosti Kaa Maaina Paaya.
Umr Ke Har Woh Moad Par Dost Gawaya
Surekha, Janak, Sangeeta Kii Yaad Mai
Smashaan Se Hawa Kyun Aayi Hain
Kya Kisi Dost Kii Khabar Laayi Hain.
Jab Bhi Hawa Kaa Rukh Yaha Se Hota Hain
Mere Maan Maie Kuchh Yaade Oobharti Hain.
-Ë—surekha-‘ Humne Sathh Bachpan Bitana Thha
Buaa Ki Shadi Maie Ziid Kar Ke Tumne
Mere Jaisi Hii Dress Banwaai,
Sathh Tasweer Khinchwaai…
Oose Sathh Sathh Dekhna Thha…
Tum Bina Bataaye Kyun Chali Gayi??
-Ë—cancer-‘ Ne Tumhe Jakad Liya….
-Ë—janak-‘ Abhi To Humae Sathh Baithh Kar
Yaad Karni Thhi Woh Sari Baate…
Jo Sathh Padhhae, Ladae -— Jagadae…
Tumare Liye Woh Mera Nasta Laana Aur
Khaate Hi Homework Karaane Ke Waade Se
Saaf Woh Tumhara Mukar Jaana
Fir Mera Munh Banana, Tumhara Mana Naa…
Tum Bina Bataaye Kyun Chale Gaye??
Tum Nahii Aaye Tumhari Khabar Aayi
Tumhe Train Ne Kachad Diya
Sangeeta Abhi To Humne Sathh Ghumna Thha
Woh College Ki Baato Par Khub Hasna Thha…
Jo Oos Wakt.. Hamaare Maan Maie Ajib Se
Khilne Lagae Thhe Phool Se Ahesaas
Ooski Khushbu Sathh Batorni Thhi
Tum Bina Bataaye Kyun Chali Gayi??
Tum Gaaw Se Wapas Hi Nayi Aayi
Tumhari Khabar -Ë—kirti-‘ Laayi
Tumne Jaher Pi Liya Aaj Barso Biit Gaye Inse Bichhde Muje
Par Aaj Bhi Jab Jab Hawa,
Smashaan Se Dhuwaa Ooda Laati Hai..
Mere Dost Mujse Galae Lagte Hai.