Jab Dard Is Dil Ko Hota Hain
Waqt Kanhi Tham Jaata Hain
Saans Chalti Jaati Hain
Waqt Ki Thokar Khaati Hain
Dill Ke Sapnon Ke Sheeshey
Aankhon Mein Yun Chubhte Hain
Fir Naynon Ke Ashkon Ke Moti
Man Ki Maala Ban Jaate Hain
Jab Sapno Ke Par
Satya Dharatal Par Aate Hain
Kyun Vishamtaon Ke Dal-Dal Mein
Ye Ulajh Kar Rah Jate Hain
Jivan Ke Is Jangal Mein
Patjhar Ati Lamba Hain
Isliye Shayad Roshni Ki Ye Kirnen
Chuti Nahi Dharatal Ko
Khushiyon K Kiwad Me
Shayad Kahin Jang Lagi Hain
Isliye Nahi Aa Pate Hain
Tod Saari Janjiron Ko
Man Ho Harshit, Jivan Pulkit
Aisi Rahti Aashaa Hain
Par Kyon In Vishamtaon Ke
Aandhi Se Aati Sirf Nirasha Hain
Aati Sirf Nirasha Hain