Jab Bhi Lauta Hun In Peele Pade Hue Panno Ki Chaon Mein
Kuch Puraani Yaadon Ke Aagosh Mein Lipta Hua Paata Hun Apne Aapko
Kabhi Koi Sukha Gulaab Jo Kisi Panne Ko Khulne Pe Majbur Karta Hai
To In Aankho Se Aansu Yun Dab Daba Jaate Hain Maano Us Gulaab Ko Fir Se Jawaan Kar Dena Chahte Ho
Beeti Hui Kai Jaagti Raatein, Beetein Hue Kai Sote Din Aur
Na Jaane Kitne Anmol Pal Mai Kaid Karta Aaya Hun Inhi Panno Mein
Kampte Hue Haathon Se Aaj Fir Kuch Naye Alfaaz In Panno Ko Deta Hun Mai-2
Kuch Aur Aansu, Kuch Aur Hansi Kaid Karta Hun Aaj Fir Se In Panno Mein
Zindagi Yun Hi Beet Gai -2, Ke Ab Aakhiri Panna Hai Bacha Khaali
Ae Mere Maula Zara Yeh To Bataa Mai Is Panne Pe Likhun Naame Tera
Ya Likh Doon Naam Unka Jinhe Chaaha Hai Tujhse Bhi Zyada
Ae Mer Maula Zaraa Yeh To Bataa Zaraa Yeh To Bataa.