Jab Bhee Aao To Phir Jaane Ke Liye Mat Aana
Mujhpe Ehsaan Jataane Ke Ke Liye Mat Aana
Jab Bhee Ghar Aao To Phir Laut Aana Mere Liye
Verna Koi Rasm Nibhaane Ke Liye Mat Aana
Raat Ki Shaan Mein Dil Chodh Diya Jalta Huaa
Shab Ka Ye Nur Bujhane Ke Liye Mat Aana‚  (Shab–Night)
Mujhko Bas Pyaar Ke Chund Bol Sona Dena Tum
Mujhpe Ilzaam Lagaane Ke Liye Mat Aana
Aaj Aao To Koi Baat Nayi Kerna Humse
Vaadon Ka Zahar Pilaane Ke Liye Mat Aana
Tere Naaz-O-Husn Ke Ab Hum Kahaan Kaabil
Ishwa-O-Adaa Ko Dikhane Ke Liye Mat Aana‚  (Ishwa-O-Adaa—- Naaz Nakhre)
Koi Bharosa Nahi Kab Talak Ke Zinda Hun
Kasam Jhuthi Meri Khaane Ke Liye Mat Aana
Tu Chali Aana Sehar Bann Ke Mere Khwabon Mein
Per Meri Neend Mitaane Ke Liye Mat Aana
Janaaza Guzar Jaaye Mera Tumhare Kuuche Se Lekin‚  (Kuuche–Street)
Dariche Per Ashk Bahaane Ke Liye Mat Aana‚  (Dariche–Window)
Aana To Mohabbat Ko Hi Dil Mein Rakhker
Khuch Khone Or Kuch Paane Ke Liye Mat Aana
Ab Ye Rishta Gar Bojh Lagne Laga Hai Tumhe
To Kabhi Bojh Utthane Ke Liye Mat Aana
Aankhen Ab Ashq Banaati Hi Nahi Barso Se
Mujhko-E-Yaar Rulaane Ke Liye Mat Aana
So Gaya Gehri Neend Karan Intzaar Karte Karte
Aaj Ke Baad Jagaane Ke Liye Mat Aana