Jab Jab Bhee Aa Ke Mujh Se Kuch Bola Hai
Toone Sukoon Ka Naya Ek Darwaza Khola Hai
Har Lafz Tera Apana Hai Duniya Se Kuch Nahee Liya
Jo Kiya Tone Mere Liye Kiye Jo Kiya Toone Kiya
Duniya Se Kuch Nahee Liya
Kal Bhee Main Jab Udas Tha
Aisa Laga Too Tha Jo Mere Pas Tha
Aur Ankhon Main Yahan Se Wahan Tak
Panee Hee Panee Tha
To Mere Dard Kee Tahreer Bana
Too Mere Gam Kee Kahanee The
Mujh Se Lipat Ke Mujh Se Jane Kya Kah Gaya
Sara Gam Mit Gaya Bas Thora Sa Dukh Rah Gaya
Dukh Maine Khud Hee Bacahaya Hai
Dukh Maine Khud Hee Chipaya Hai
Dobara Yahee Dukh Lene Too Kal Ayega
Dukh Bacha Ke Rakhoonga Tabhee To
Phir Tujh Se Milne Ka Pal Ayega
Zindgee Dukh Detee Rahegee
Too Dukh Mangata Rahega
Mere Meethe Khabon Ke Liye
Too Jagara Rahega
Tone Mujeh Dene Ke Liye Kabhee
Kisee Se Kcuh Nahee Liya
Sab Kuch Apana Laya Hai
Too Hee Tera Jism Hai
Too Hee Tera Saya Hai
Sadik Hai Pak Hai Too Bahut Bhola Hai
Jab Jab Bhee Aa Ke Mujh Se Kuch Bola Hai
Toone Sukoon Ka Naya Ek Darwaza Khola Hai