Jab Aankh Kisi Ravan Ki Sita Par Tik Jati Ho ,
Thaki Karz Se Bhojil Sita Roti Par Hi Bik Jati Ho
Aur Ram ,Ram Aankh Tarer Kar Raha Jata Ho,
Sara Tap Pasina Bankar Paththar Par Hi Bah Jata Ho,
Jab Paththar Hi Paththar Ko Sulgane Ka Ayojan Karta Hai ,
Tab Tab Sansad Mein Aag Lagane Ka Apna Bhi Man Karta Hai
Jab Jab Dhyut Shabha(Jua) Sajti Hai Dhuryodhan Bhanna Sa Jata Hai,
Mahanagar Ke Chorahe Par Sannata Sa Jha Jata Hai,
Dhrupat Suta Jab Dhyut Shabha Mein Kate Ped Si Dah Jati Ho,
Arjun Ka Gandiv Aur Bhim Ki Gada Dhari Si Rah Jati Ho,
Jab Dhussan Dhrupat Suta Ka Cheer Haran Manchan Karta Hai ,
Tab Tab Sansad Mein Aag Lagane Ka Apna Bhi Man Karta Hai
Arjun Vijay Darp Mein Aitha Rajmahal Mein Jhum Raha Ho,
Aur Eklavya Kata Angutha Laker Van Van Mein Ghum Raha Ho,
Jab Guru Dhron Ka Gyandeep Rajmahal Mein Jalta Ho
Aur Sara Gyan Chand Tukdo Par Hi Bik Jata Ho,
Jab Jab Koi Dron Eklavya Ka Shakti Bandhan Karta Hai,
Tab Tab Sansad Mein Aag Lagane Ka Apna Bhi Man Karta Hai