Jab Aalam-E-Raat Sayaah Hota Hai Andhere Ke Beech
Ek Ajeeb Sa Ittefaak Hota Hai Tere Or Mere Beech
Jab So Jaati Hai Duniya, Main Tujhko Bulaya Karta Hun
Main Hans Ker Yun Hi Akser Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Jab Sard Ho Jaati Hai Raat, Or Meri Nabj Bhee Jamne Lagti Hai
Lamhe Utthata Houn Kuch Maazi Se Or Unko Jalaaya Kerta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Mujhe Maalum Hai Ke Na Aayegi,Phir Bhee Hai Mera Pagalpann
Tere Aane Ki Umeed Mein Mai Iss Ghar Ko Sajaaya Kerta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker, Mere Gum Ko Rulaaya Karta Hun
Mujhe Yaad Hain Wo Vaade Tere, Aane Ke Kabhee Na Jaane Ke
Dil Mein Sab Yaad Mai Rakhta Hun, Kehta Hun, Bhulaya Karta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Ye Baat Hai Unn Deewaron Ki, Jinnko Tune Kabhi Apnaya Nahi
Phir Kyun Mai Unn Deewaron Per Teri Tasvir Lagaaya Kerta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Ik Aag Se Mai Jal Jaata Hun, Per Phir Bhee Baaz Nahi Aata
Khud Hi Lagaata Houn Issko Or Khud He Bujhaya Karta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Nasha Chadhta Hai Mujhko Aisa Ki Khud Ko Bhool Jata Hun
Jaam Mein Mai Apne Akser Kuch Ashk Milaaya Kerta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Na Jaan Magar Ye Mushkil Hai, Na Sune Tu Ye Bhee Mumkin Hai
Tujhko Akser Khamoshi Se Mai Awaaz Lagaaya Kerta Hun
Mai Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Maalum Mujhe Ki Showq Tujhe, Mehfilon Mein Aane Jaane Ka
Tanhaai Ke Saaye Mein Apni Mai Umar Bitaya Karta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun
Na Puch Karan Kya Likhta Hai, Koi Gazal Nahi Ye Nazm Nahi
Tera Naam Hai Ye Tera Naam Hi Hai Jo Likh Ker Mitaya Kerta Hun
Main Akser Yun Hi Hans Ker Mere Gum Ko Rulaaya Kerta Hun