Jaayega Janazaa Mera Kandha Badal Badal Ke
Subah Ki Roshni Mai Apne Saaye Ko Chod K Main
Aankhon Ke Sabhi Khawab Dube Hue Is Dil Mai
Angan Ki Mittiyon Se Khele Jo Khel Mene
Woh Khel Sabhi Us Din Dhal Jaayenge Gumo Mai,
Khidki Meri Jispe, Mene Diye Sajaye Andhero Mai
Takti Rahegi Jab Mujhe Roti Hui Seher Mai
Doli Meri Choo Choo Ke, Mere Khilone Bhi Royenge
Kamre Mai Mere Ab To Andhere Hi Soyenge,
Mujh Par Girenge Phool Udasiyon Ke Naam Ke
Gaayenge Vo Geet Meri, Bichdi Chahat Ke Naam Ke
Maatam Karegi Umar-E-Gujara Machal Machal Ke
Jaayega Janazaa Mera Kandha Badal Badal Ke,
Reh Jaayenge Khazane Dunia Ki Mehfilo Mai
Yaadon Ki Sabhi Kaliya Tootengi Tehniyo Se
Meri Hansi Sunega Vo Tez Baarisho Mai
Aankhon K Samandar Se Doobega Kashtiyon Mai
Raat Ki Taariki Sajan Ko Degi Pegaam Mera
Tanhaiyon Mai Royega Vo Le Le Ke Naam Mera
Jeeya Karega Jab Vo Bhi Behel Behel Ke
Jaayega Janazaa Mera Kandha Badal Badal Ke