Jaantaa Hai Wahee Us Dard Ko, Jisey Wah Ho
Doosroun Ko Sahee Andaaz Naheen Hotaa Hai
Baap Ho Qatl, Yaa Ki Maan, Ki Houn Bahin-Bhaayee
Jaan Paataa Hai Wahee, Jo Ki, Unhain Khotaa Hai
Taqaatuli Ka Dour Yah, Na Huaa Khatm Agar
Beygunaahoun Ka Khoon Bahtaa Rahaa Gar Youn Hee
Aur Ham Doosroun Key Feir Mein Rahey Parhtey
To Samajh Leejiye Barbaadee Hi Barbaadee Hai
Apnaa Dushman Hai Koyi Aur Jaantey Hain‚  Ham
Fir Bhi Ham Baarhaa Us Key Shiqaar Bantey Hain
Chand Tukrhoun Key Liye Zar Key, Bikeyngey Kab Tak?
Ham Ney Yah Kaisee Khaak Kufra-E-Nou Ki Laadee Hai?