Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe Uth Jaaonga….
Yeh Inayat Main Jald Hi Apnoo Se Paaonga…..
Jaane Kyun Bhaagte Hai.N Door Sab Ae Qazaa*…..
Tujhe To Muskurate Hue Gale Lagaoonga….
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Bagh-O-Bahar* Bhi Feeki Si Hai Yahaan…..
Is Chaman Mein Kutch Mehak Chood Jaaonga…..
Jaate Jaate Le Gaya Aasmaan Apne Saath…..
Ae Chaand Tere Liye Chand Sitaare Chood Jaaonga….
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Kaazib* Se Bhari Dahar* Hai Yahan…..
Is Mehfil Mein Kuch Imaan Chood Jaaoonga…..
Aaj Tu Bhi Khafa- Khafa Si Baithi Hai…..
Ae Maut Tujhe Maana Ke Hi Jaaonga…..
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Beghar Jo Hui Kabhi To Mud Ke Dekhna…..
Chand Kadmon Pe Apna Makaan Chood Jaaonga…..
Kar De Gar Be-Noor* Hawayein Mehfil Ko Teri…..
Charag Jala Lena Jhulasta Badan Chood Jaaonga…..
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Aaj Bargashtaa* Hui Tere Aankhon Mein…
Ek Dabi Si Nami Si Chood Jaaonga…..
Be-Naakab Teri Saakh* Ko Bewafa…..
Apne Kafan Se Dhak Jaaonga…..
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Maana Ki Diye Hain Dard-O-Gam Hi Tune….
Phir Bhi Har Gunnah Muaf Kar Jaaonga…..
Mustaqil* Ban Ke Bhi Maqbool* Jo Na Kar Saka Tujhe….
To Lahad* Ki Khamooshion Mein Kho Jaaonga….
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Jo Tu Bhi Na Samajh Saki Wafa-E-^aman^…..
To Kise Ye Chak-E-Dil Dikhaanonga……
Jaane Kitne Hi Darkaar* Hain Mujhse Ae Zindagi
Tujhe Aur Gumguzaar* Na De Paaonga….
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe…..
Nibhaya Har Rishta Mukamaal Hone Tak…..
Ab Ise Aur Na Nibha Paaonga…..
Ek Main Bhi Bewafai Kar Jaaonga…..
Zindagi Main Tujhe Chood Jaaonga….
Jaanta Hoon Chaar Kaandho Pe Uth Jaaonga….
Yeh Inayat Main Jald Hi Apnoo Se Paaonga…..
Qazaa= Maut
Bagh-O-Bahar=phoolon Se Saja Mausum
Bargashtaa=turned Against
Saakh= Izaat
Mustaqil= Victim
Maqbool= Famous
Lahad=kabr
Kaazib= Jhoot
Dahar=duniya
Darkaar=need
Gumguzaar= Narmi