Jaani Pehchaani Si Rehguzar Pe Ae Zindagi
Yeh Moud Kaisa Anchaaha Sa Ajnabi Jaisa
Dhudhle Dhudhle Hone Lage Apne Se Chehre
Har Rishta Lagne Laga Kisi Farebi Jaisa
Ro Kar Guzaar Dein Chalo Ye Gumon Ki Raat
Kabhi Toh Utrega Savera Bhi Mehjabi Jaisa
Bhula Dein Unko Apni Neik Duaao Ke Saath
Ehsaan Jataaye Jo Dekar Tohfa Garibi Jaisa
Dil Ka Rishta Toh Unse Kabhi Hua Hi Nahin
Rishta Wo Jhooth Ka Lagta Tha Matlabi Jaisa