Jaane Yeh Kaisi Iss Chaahat Mein Bekasii Hain
Khamosh Hawaaon Mein Bhii Kuchh Sarsari Hain
Kaise Karloon Ikraar Mein Tujhse Meri Jaan
Issi Chaahat Se Kabhii Meri Dil-E-Basti Jali Hain
Kaash Bata Paati Ke Kitna Royi Hoon Mein
Kitni Raatein Meri Yuhin Tadapte Huve Kati Hain
Mohabbat Say Tere Mujhko Gilaa Bhii Nahii
Teri Chaahat Se Hi Meri Khushiyaan Bachi Hain
Ruk Jaati Hain Saansein Sochte Sochte
Intezare Karaar Mein Meri Dam-E-Wapasi Hain
Sab Kuch Hai Paas Phir Bhi Kuch Nahii Hain
Tere Bina Zindagi Mei Mere Bahaut Kami Hain
Chipa Ke Rakh Lu Mei Tujhko Aankhon Mein
Tujhi Se Hi Meri Bas Yeh Aalam-E-Hastee Hain
Tere Bina Mein Gurbat Mein Jee Rahi Thee
Tujhi Se Hi Dilon Mein Aaj Mere Aasoodgi Hain
Nahi Khabar Thi Ke Yu Tera Pyaar Milega
Is Khushi Ki Dastak Say Mujhko Hairaangi Hain
Teri Chaahat Ka Mujhko Ehsaas Hi Na Tha
Ab Kya Karoon Mei Meri Dhadkan Poochti Hain
Bhar Leti Mein Tumko Baahon Mein Apnay
Magar Hathon Me Mere Rasmo Ki Hatkadi Hain
Samaa Leti Mein Tumko Aagosh Mein Apne
Par Aanchal Mein Mere Kaaton Kee Jhadi Hain
Kyun Khushi Aakar Bhii Nahii Aati Paas Mere
Aye Khudaa Yeh Kaisi Aazmaaish Kii Ghadi Hain