Jaane Kyun Pyaar Par Mere Yakeen Na La Sake
Tum Mujhko Apne Dil Mein Zaraa Bhi Na La Sake,
Karte Rahe Duaayein Deedaar-E-Yaar Par
Hum Zindagi Bhi Rab Se Ye Lambi Naa Sake,
Mudte Hai Saare Raaste Mere Ghar Ki Raah Par
Mujh Tak Par Ek Kadam Tum Sahi Na La Sake,
Badla Hua Hai Manzar-E-Shab Aajkal Magar
Aisaa Bhi To Nahi Ke Sukun “Ali” Na La Sake,
Kabhi The Mashaa Tolaa Kabhi Gum Kabhi Khile
Phir Justuju, Wo Aah, Kasak, Kabhi Na La Sake,
Kaisi Thi Bebasi “Ali” Ji Wo Un Dino,
Hum Chaahte Hue Bhi Aankh Mein Nami Na La Sake,
Rastein Bhi To Itne Ye Bewafaa Nahi The
Jo Tumko Duniyaa Bhar Se Yahin Na La Sake.