Jaane Kyun Hum Ek Teri Hi Mohabbata Mein
Raat Deen Khoye‚  Rehte Hai.
Jaane Kyun Hum Akshar Chand Ko Dekhkar
Us Mai Ek Tera Hi Chehra Dhundhte Hai.
Jaane Kyun Jab Phool Khilte Hai
To‚  Mujhe Tum‚  Yaad Aate Ho.
Jaane Kyun Jab Shard Hawae Chalti Hai
To Muje Tum Yaad Aate Ho.
Jaane Kyun Hum Sabko Bhulakar
Ek Teri Hi Yaad Mai Khoye Rehte Hai.
Jaane Kyun Jab Yaad Teri Aati Hai
To Ye Dil Tadap Uthta Hai.
Aur Ye Aankhen Barash Ne Lagti Hai.
Jaane Kyun Ye Zindagi Tere Bin Adhuri Si Lagti Hai.
Jaane Kyun Tu Mujse Door Hai
Fir Bhi Mere Dil Ke Kareeb Lagti Ho.
Tu Meri Zindagi Mai Nahi Hai
Fir Bhi Jaane Kyun Meri‚  Nash Nash Mai
Lahoo Ki Tarha Behti Hai.
Is Zindagi Mai Hum Judaa Ho Gaye
Fir Bhi Na Jaane Kyun‚  Marne Ke Baad
Tujse Milne Ki‚  Umeed Lagti Hai