Jaane Kaisa Ye Mazaak Mujhse Khuda Kar Raha Hai
Mere Zakhmon Par Hansne Ki Khata Kar Raha Hai
“Ehsaas” Kuch Toh Gunaah Kiya Hoga Tune Kabhi
Tera Rehnuma Teri Ruksati Ki Dua Kar Raha Hai
Jinki Mohabbat Ki Khatair Dil Dhadakta Tha
Meri Zindagi Jinki Mohabbat Ki Mohtaaj Hai
Keh Do Unhe Wo Meri Maut Ki Aur Dua Na Karein
Unke Chahne Wale Ki Aaj Ye Aakhri Raat Hai
Jo Pooche Zamana Kabhi, Mera Kalaam-E-Mohabbat
Keh Dena Aur Ek Diljala Khud Ko Kurbaan Kar Baitha
De Toh Di Jaan Uski Chaukhat Pe Sir Patak Patak Kar
Aur Poore Shahar Ko “Ehsaas” Kabristaan Kar Baitha
Aakhri Baar Aaj Sajde Mein Tere Sir Jhukata Hai
Ae Takdeer Tere Saamne “Ehsaas” Haath Failata Hai
Mere Jaane Ke Baad Bhi Unhe Mohabbat Ki Koi Kami Na Ho
Mere Mehboob Ki Aankhon Mein Dekhna Kabhi Nami Na Ho
Meri Mohaabat Ka Unhe Andaaz Hua Hi Nahin Kabhi
Unki Bewafaiyo Par Bhi Main Naraaz Hua Hi Nahin Kabhi
Unki Berukhi Ki Jeet Nahin, Ye Mere Ishq Ki Haar Hai
“Ehsaas” Ki Nahin Doston Ye Mohabbat Ki Majaar Hai
Mehendi Jo Unhone Laga Li Kisi Aur Ke Naam Ki
Laayi Meri Maut Ka Paigaam Unki Baraat Hai
Ke Keh Do Unhe Wo Meri Maut Ki Aur Dua Na Karein
Unke Chahne Wale Ki Aaj Ye Aakhri Raat Hai
Unke Chahne Wale Ki Aaj Ye Aakhri Raat Hai