Jaane Kahaan Se Gham Fizaaon Mein Aa Gaya,
Udkar Kahaan Se Dard Hawaaon Mein Aa Gaya,
Shab-E-Vasl Pe Aalam Hai Shab-E-Hizra Sa Yaaron,
Andaaz-E-Bewafaai Bhi Wafaaon Mein Aa Gaya,
Kaanp Uthti Hai Meri Rooh Bhi Jiske Tasavur Se Hi Aksar,
Manzar Wo Yakaayak Aaj Nigahon Mein Aa Gaya,
Sudhri Hai Haalat-E-Bimaar-E-Dil Kisi Ne Dua Ki Hogi,
Varna Asar Kahaan Se Itana Davaon Mein Aa Gaya.
By Sahil Verma