Jaanay Kiyu Zindage Uddas Raston Ki Humnawa Hui
Jaanay Kiyoun Zindagee Bey Hijaab Rishton Ki Dilruba Hui
Pehlay Hi Bohat Saber Aazmaa Tha Zindagee Ka Safar
Jaanay Kiyoun Zindagee Anjaan Rahoon Ki Tarah Hui
Kis Shouq Say Cherha Tha Perwaan Dil Ka Derpan
Jaanay Kiyoun Zindagee Tooti Kirchiyon Ki Fiza Hui
Bani Aarzoo Tamasha Sar-E-Bazar Ruswaiyon Ki Zad Main
Jaanay Kiyoun Zindagee Bey Qadar Rasmon Ki Saza Hui
Jisay Thaam Ker Khushi Bhi Raazi Thi Nachanay Ko
Jaanay Kiyoun Zindagee Unhi Qasmon Ki Dagha Hui
Aik Ehed Tha Kay Jis Main Shayri Bhi Shayri Thi
Jaanay Kiyoun Zindagee Guzrey Waqton Ki Iltija Hui
Yeh Bhi Na Jaan Paaye Shaiki Deewanay Pan Main
Jaanay Kiyoun Zindagee Beetey Lamhoon Ki Khata Hui