Jaan Kar Kyon Mujhe Woh Staate Rahe
Kyon Sada Hi Mera Dil Jalate Rahe
Pyaar Ki Raah Main Silsila Ye Raha
Roothte Woh Rahe Manate Hum Rahe
Raat Bhar Yaad Main Unki Rote Rahe
Har Gadhi Jo Hume Bas Staate Rahe
Aag Aisi Lagi Zindagi Main Ke Hum
Bas Bhujaate Rahe,Bas Bhujate Rahe
Kat Gayi Umar Auron Ko Khush Rakhne Main
Log The Ki Mera Dil Dukhate Rahe
Phoolon Ne Kar Diya Humko Zakhmi Bahut
Hum Kaaton Se Daaman Bachate Rahe
Usne Deke Daga Humko Apna Kaha
Hum The Ki Baaton Main Aate Rahe
Kar Diya Ruswa Usne Bhari Bazm Main
Raaz-E-Dil Jise Hum Batate Rahe
Kitne Nadaan The Jo Samajh Na Sake
Khaab Ki Neev Par Ghar Banate Rahe
Zindagi Ne Dikhai Bahut Talkhiyan
Fir Bhi Nagme Khushi Ke Hi Gaate Rahe
Dard-O-Gam Saare Apne Chupaate Hue
Muskurate Rahe Muskurate Rahe