Jaan-E-Afasaana Yahi Kuch Bhi Ho Afasaanay Ka Naam
Zindagi Hai Dil Ki Dharhkan Tez Ho Jaanay Ka Naam
Qatraa Qatraa Zindagi K Zehar Ka Peena Hai Gham
Aur Khushi Hai Do Gharhi Pee Kar Behak Jaanay Ka Naam
Intezaar-E-Fasl-E-Gul Mein Kho Chukay Aankhon Ka Noor
Aur Bahaar-E-Bagh Leti Hi Nahin Aanay Ka Naam
Taab-E-Naakaami Nahin To Aarzu Kartaa Hai Kyaa
Aarazu Hai Mauj K Saahil Say Takraanay Ka Naam
Aaj Tu Kal Koi Aur Hogaa Sadar-E-Bazm-E-May
Saaqiyaa Tujh Say Nahin Hum Say Hai Mekhaanay Ka Naam
Waaqif-E-”Mullah” Na Thi Bazm-E-Khirad, Ye Tay Huwa
Ho Na Ho, Ye Hai Kisi Mash-Hoor Divaanay Ka Naam