Jaam Ke Baad Madhoshi Par Kyon Thehre Ho
Ye To Kaho Uske Baad Kya Alam Chha Jata Hai
Thirakne Lagte Hain Kayi Nagme Honthon Par
Khamoshi Ka Safar Jaise Ruk Sa Jata Hai
Kya Dil-E-Barbad Ki Kahani Aur Kya Dard Ki Baatein
Ghum Ka Fasana Kahin Kho Sa Jata Hai
Paani Ho Jata Hai Garoor Donon Ka
Dil Aur Jehan Ek Sa Ho Jata Hai
Khuli Aankhon Se Wo Nazar Aane Lagte Hain
Bas Phir Wahin Nasha Utar Sa Jata Hai