I’zaaz* Nahi Koi, Yeh Haqeeqat Hi Hai
Mare Hue Bhi Hum, Zinda Nazar Aate Hai
Tujh Se Door Bhi Hai, Hum Pas Hokar
Bin Chalki Aankhon Se, Angaar Bahate Hai
Lukte Chipte Andheri Raat Mein, Badal Ke Tale
Door Se Chaand Hi, Hum Kehlaaate Hai
Tujh Pe Majboor Bhi Hai, Hum Talabgaar Hokar
Tujhko Hasrat Bhi Kisi, Aur Ki Batlaate Hai
Har Atish Se Door Rahe, Jawan Zindagi Tak
Kuch Nishan Aab Bhi Dil Pe, Nazar Aate Hai
Shera-E-Gham Ki Sookhi Ret Main
Samandar-E-Ashk Ruksaro Pe, Nazar Aate Hai
Iqtizaa-E-Dil* Ke Jhakhm, Jo Kahin Chupe The
Iltifaat-E-Ishq** Main Tere, Unko Hara Pate Hai
Madhoshi Mein, Jam Pe Jam Peete Hai Bekhabar
Gham Main Use Hi Apna Sathi, Khara Pate Hai
Dil Ki Hasrat Mohabbat Ki Narmi
Khudaya Na Dena Naam, Ise Kahi Kismat
Kismaton Ke Rukh To Pal Mein, Badal Jaate Hai
Hum To Insaan Hai, Insaan Hi Humhe Rehne Do
Sitam Ko Hum Bhi, ‘Mast_pyar’ Ban Nibhaate Hai