Izaajat Dogi
Tumhaare Aakaash Pe Gar-Â…
Mai Raat Ban Ke Bikharna Chaahun
Hawaa Ho Jaaun-Â…tumhaari Zulf Sehlaaun
Ortumhaara Dupatta Uda Le Jaaun-Â…
Izaajat Dogi ?Gar Mai
Kehna To Bahut Kuchh Chaahun
Per Kuchh Keh Na Paaun-Â…
Tum Hi Se Nazrein Chhupakar
Tum Hi Ko Parhna Chaahun-Â…
Izaajat Dogi ?Gar Mai
Koshishein Laakh Karoon Tumhe Behlaane Ki
Per Kaamyaab Na Ho Paaun-Â…
Tum Samajhna Chaaho Meri Uljhanein Or
Mai Chup-Chaap Gujar Jaana Chaahoon,
Kya Dogi Izaajat-Â…?
Haan-Â…ye Sach Hai Mere Daayre Bahut Chhote Hain
Shaayad Mere Hi Is -Â…kad Ki Taraah-Â…!
Mumkin Hai -Â….Ke Dam Ghutne Lage Tumhaara
Or Mai-Â…..Tumhe Khula Aasmaan Bhi Na De Paaoon
Izaajat Dogi-Â…-Â….?
Gar Mai Yoonhi Ek Roj Tumse
Izaajat Lene Ka Hausla Bhi Na Bana Paaun.
Apni Marzi Se Kahaan Apne Safar Ke Hum Hain,
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain,