Issi Say Hota Hai Zahir Jo Haal Dard Ka Hai
Sabhi Ko Koi Na Koi Wabaal Dard Ka Hai
Seher Sisaktay Hoey Aasmaan Say Utri Hai
Tu Dil Nay Jaan Lya Ye Bhee Saal Dard Ka Hai
Abb Iss K Baad Koi Rabta Nahin Rakhna
Ye Baat Tay Hoee Laikin Sawaal Dard Ka Hai
Ye Dil,Ye Ujri Hoee Chashm-E-Nam,Ye Tanhai
Hamaray Pass Tu Jo Bhee Hai Maal Dard Ka Hai
Ye Jhank Laiti Hai Dosray Dil Mai
Mairi Nigah Mai Sara Kamaal Dard Ka Hai
Ham Uss Ko Dekhtay Jatay Hain Rotay Jatay Hein
Ye Sehen-E-Shab Mai Para Hai Jo Thaal Dard Ka Hai
Waheen Kaheen Kisee Ghaati Mai Tayra Hijr Bhee Hai
Mairay Lahoo Say Jahan Ittesaal Dard Ka Hai
Nafs Nafs Pay Paray Aablon Say Lagta Hai
Na Janay Ruh Mai Kab Say Ubaal Dard Ka Hai
Kisee Nay Poocha K Farhat Bohat Haseen Ho Tum
Tou Muskura K Kaha Sabb Jamaal Dard Ka