Isse Pehle Is Qadar Jeene Ki Chaahat Nahi Hui
Aisi Bekhud Pehle Kabhi Dil Ki Haalat Nahi Hui
Ab Tak To Sukun Se Kat Rahi Thi Zindagi
Saanson Ko Pehle Kabhi Duaaon Ki Zaroorat Nahi Hui
Gaafili Me Hamne Tamaam Umr Basar Kar Di Yahaan
Aisi Khoobsurat Bala Se Kabhi Apni Nisbat Nahi Hui
Raaton Ko Neend Muqammal Hua Karti Thi Ab Talaq
Charaaghon Ko Kabhi Isse Pehle Itni Zahmat Nahi Hui
Duaaon Ki Taasir Hoti Dikh Rahi Hai Rafta Rafta
Badnaseeb Pe Kabhi Iilaahi Ki Aisi Rahmat Nahin Hui
Tanhaai Se Mile Musaafir Kaafi Arsa Ho Gaya Ab
Daur-E-Ziist Me Kabhi Hamaari Aisi Qismat Nahi Hui