Iss Se Pehlay Ke Shaam Ho Jaey
Aur Tu Bila Wajeh Badnaam Ho Jaey
Ao Wapis Ghar Jaein
Aur Gaaon Ke Baher Chorahe Se
Hum Apne Apne Daggar Jaaein
Phir Itfaaq Se Kabhi Zindgi Ke Sharah Par
Jab Hum Hun Apni Apni Rah Par
Humare Raaste Aik Dujay Se Takraa Jaein
Tu Bina Pehchanay Aik Dusre Ko
Ban Ke Ajnabi Hum Gujar Jaein
Chaein Tu Aaj Dur Bhi Hum Jaa Sakte Hein
Aur Ik Duniya Nai Hum Basaa Sakte Hein
Lekun Woh Jo Dekh Ke Hum Ko Jeete Hein
Aur Jin Ko Chod Ke Hum Chale Hein
Un Ko Bhi Munh Dikhana Haun Samaaj Ko
Waqt Badly Ga Hey Yeh Mujh Ko Yaqeen
Lekun Bebas Wa Majbur Hain Piyaar Aaj Tu
Iss Se Pehlay Keh Shaam Ho Jaey
Aao Wapis Ghar Jaaein