Iss Rang Badalti Dunia Mein, Insaan Ki Haalat Kya Kehne,
Saccha Chehra Ab Ek Nahi, Jhooth Ke Sab Jaame Pehne.
Ek Hod Lagi Hai Paise Ki, Jajjbat Ka Koi Mol Nahi,
Har Ek Dil Mein Kadwahat Hai, Mukh Pe Do Meethe Bol Nahi,
Sab Rishtey Jhoothe Lagte Hain, Ehsaas Ka Ab Aadhar Nahi,
Matlab Ki Dhooni Jalti Hai, Ek Duje Ko Aabhar Nahi.
Vishwas Ki Bali-Vedi Par Ab, Dhokhe Ka Phool Khilate Hai,
Aage Badhne Ki Dhun Mein Ab, Imaan Kharide Jate Hai.
Sacchai Ki Taakat Ab, Kisso Mein Sunai Jati Hai,
Bhrashtrachar Ki Dunia Mein Misaal Banai Jati Hai.
Chandi Ke Chand Sikkon Ke Liye, Bhagwan Ki Boli Lagti Hai,
Sattha Ka Hai Bazaar Yahan, Logon Ki Holi Jalti Hai.
Bhagwan Bhi Ab Toh Sochega, Kaise Ye Uss Se Bhool Hui,
Uski Sabse Adhbhut Rachna, Mitti Mein Mil Kar Dhool Hui.