Iss Ko Tum Chahte Ho Ussko Kho Dena Kaisa Lagta Hai
Hain Yeh Qurbat Ki Doorian Bhi Sath Reh Kar Bhi Ussko Na Paana
Kaisa Laghta Hai Qismat Mein Nehi Phir Bhi Ussko Chahte Hain
Phool Samjh Kar Kaanto Par Chalna Kaisa Laghta Hai
Ab To Mehfil Mein Bhi Humare Liye Tanhaie Hai
Mehfil Mein Doosroon Se Hans Hans Ker Milte Hain
Tanhai Mein Ghum Ke Ansoo Behana Kaisa Laghta Hai
Samjhne Par Bhi Samjhata Nehi Hai Yeh Dil
Uss Ki Yaad Mein Raato Ko Jaagna
Kaisa Laghta Hai Us Ki Berukhi Naie Itne Diye Hain Zakhm K
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kaisa Laghta Hai
Jab Woh Hans Hans Kar Baat Kare Doosro Se
Tab Apne Ansoon Ko Chupana Kaisa Laghta Hai
Usse Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nehi
Phir Bhi Khud Ko Ameer Batana Kaisa Laghta Hai
Khaye Hain Dohkay Mohabbat Mein Itney K
Phir Bhi Ussko Chahna Kaisa Laghta Hai
Maloom Hai Manzil Nehi Hai Koie
Phir Bhi Safar Kerte Rehna Kaisa Laghta Hai
Woh To Aa K Bhi Kab K Jaa Chuke Hain
Phir Bhi Usska Intzaar Kerte Rehna
Kaisa Laghta Hai