Iss Jahan Main Izzat Se Badi Koi Cheez Nahin Hoti
Jab Hojata Hai Pyaar Toh Uss Dildar Se
Badi Iss Duniya Main Koi Shaksiyat Nahin Hoti
Milta Hai Jab Bewaffai Ka Tofa
Uss Dildar Se Toh Sab Yeh Hi Kehte Hai
Toot Te Hue Jeena Iss Dard Main;
Insaan Ki Isse Badi Koi Paimaish Nahin Hoti
Do Pal Saath Guzarna Chahta Hoon
Par Iske Liye Bhi Tarsa Dia Usne
Kash Pyar Nahin Kia Hota Maine Toh Meri
Zindagi Uski Dhadkanon Ki Motaj Nahin Hoti
Marr Gaya Mera Dil Aur Andheron Main Bhataksa Gaya Hai
Yeh Bata Dia Duniya Walon Ne Ke Hum Jaise
Dilon Ke Liye Do Gaz Zameen Bhi Nahin Hoti
Meri Zindagi Uski Amanat Thi Jisko Usne Nesto Nabut Kardia
Samaj Lena Chahiye Tha Hume Ke Ek Nagin Ke
Dil Main Pyaar Ki Koi Jagah Nahin Hoti
Ek Atoot Desh Ki Tarha Thi Meri Duniya
Jisse Tukdon Main Batdia Uss Bewaffa Ne
Hum Jaise Deshon Ke Liye Toh Koi Sarkar Bhi Nahin Hoti
Kahin Dhoor Chale Aye Hai Hum
Unn Insaanon Se Bhari Duniya Se
Hume Wapis Bulane Ke Liye Toh Humare
Paas Maa Ki Cheeti Bhi Nahin Hoti
Ager Kat Jati Zindagi Uss Bewaffa Ke Nishanon Ke Bager
Toh Hume Ansuon Ko Chupane Ki Zarurat Nahin Hoti
Mit Bhi Jaun Ager Uss Bewaffa Ke Napak
Pyaar Ke Saath Toh Bhi Mujhe Afsos Nahin Hoga
Kafan Pe Daag Lagne Ke Bad Uss Kafan Ki Dhulai Nahin Hoti