Iss Jahaan Ke Pinjre Mein Ye Zindgi Ik Kaid Hai
Iss Kaid Se Mujhe Aazaad Kerane Maut Aayegi
Iss Duniya Mein Jiss Nagri Ka Jikar Hum Sunte Hain
Iss Nagri Se Uss Duniya Mein Lejaane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Her Shab Mere Bina Bulaaye Khwaab Aate Hain
Ek Shab Katil Ke Bahaane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Karane Maut Aayegi
Jeevan To Phir Bina Bataaye Kat Jaayega
Lutne In Saanso Ke Khazaane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Tujhko Maalum Ho Na Ho Zindgi Teri Kitaab Mein
Kuch Raaz Hain Jo Mujhko Samjhaane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Karane Maut Aayegi
Umar Bhar Jiss Khuda Ki Talaash Mein Zindgi Raayga Ki
Uss Khuda Se Hi Mujhko Milwane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Ek Shab Katil Ke Bahaane Maut Aayegi