Iss Daur Ke Naujawanon Mein Yeh Chalan Khaas Hain
Dushwar Hain Jindaagi Us Par Mohabbat Kee Talaash Hain
Yeh Husn-O-Jamaal Ke Khajane Nahin Muflison Ke Liye
Hasinayein Hain Parchai Us Shaqsh Kee Daulat Jiske Paas Hain
Touheen Naa Karna Kabhi Keh Kar Kadwa Sharaab Ko
Kisi Gamzada Se Puchiyega Ismein Kitni Mithaas Hai
Maut Is Nijaam Mein Marz Ka Ilaaj Ban Chuki Hain
Sehme Parindon Ko Is Haqeeqat Kaa Ehsaas Hain
Thokar Lage Khaali Paimaane Si Jindaagi Apni Kureel
Saagar Nahin Naseeb Mein Aur Labon Par Pyaas Hain