Iss Bedard Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.
Bhole Bhale Bandon Ko,Yeh Duniya,
Dakoo Ke Jaise Thagti Hain.
Is Begairat Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.
Doosron Ke Sapne Tod Ker,
Aapna Mahal Banati Hain.
Haste Huye Ko Sekh Ker,
Yeh Sah Nahin Paati Hain.
Gire Huye Ko Ja Ker,
Yeh Nahin Uthati Hain
Is Swarthi Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.
Aapne Liye Bhagwan Se,
Yeh Her Pal Mangati Rehti Hain.
Bhookhe Bache, Nange Jism Ko Dekh Ker,
Yeh Chup Hi Rehti Hain.
Es Pather Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.
Rupiya Hee Eska Bhagwan Hain
Yehi Eska Deen,Yehi To Eski Emaan Hain.
Der Per Aaye Fakeer Ko,
Bhaga Hee Deti Hain.
Paisa Hai To Tere Liye,
Pairon Mein Bish Jati Hain,
Aur Kabhi Chatri Ban Tere Ser Per Cha Jati Hain,
Paise Tere Ko Dekh Ker,
Yeh Duniya Ko Bhool Hi Jati Hain,
Her Pal,Her Ghadi Bus Yeh Tere Hee Gunn Gati Hain.
Arre Duniya Walo,Tum To Bus Keemat Lagao,
Insaniyat To Es Duniya Mein,
Ab Her Pal Neelam Hoti Hain.
Es Lalchi Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hai.