Iske Gham Koh Meshoos Karney Ki Koshish Keejiyegaaa
Kabhi Fursat Seh Meri Kahaani Dekhiye,
Zinda Yeh Behosht Zindagaani Dekhiye,
Kismat Ke Faisley Kabhi Mere Haq Nahi,
Har Khadam Is Safar Pareshaani Dekhiye,
Rozgaar Na Miley Aur Rehnumaai Na Mile,
Yeh Baatein Toh Hain Puraani Dekhiye,
Dariidaa-Daaman* Aur Aankhon Me Nami,
Sadakon Par Guzari Hai Jawaani Dekhiye,
Sahaara Na Milaa Zamaane Ka Mujhey,
Tilaasa Milaa Bhi Mehez Zabaani Dekhiye,
Zindagi Guzaar Rahe Agar Sabh Ke Beech,
Logon Ke Chehrey Ki Hairaani Dekhiye,
Doosron Seh Shikwa Karne Ka Nahi Haq,
Mere Apno Ne Ki Bad_ghumaani Dekhiye,
Zulm Kiye Hain Hum_hakaaza Par Yahaan,
Aur Yeh Zamaana Hai Insaani Dekhiye,
Humey Bulaakar Kiye Hain Be_izzat Yeh,
In Khuda_paraston Ki Meyzbaani Dekhiye,
Sabh Kuch Bhool Kar Apnaaya Sabhko,
Zara Is Maasuum Ki Bhi Naadaani Dekhiye,
Har Baar Zakhm Dekar Bhoolne Ki Salaah,
Inki Yeh Pursish-O-Meharbaanii Dekhiye,
Har Shaks Hain Maujood Mere Ghar Mein,
Phir Bhi Mere Ghar Ki Veeraanii Dekhiye,
Shikaayaten Aur Bhi Hain Magar Ruk Gaya,
Yeh Mere Qalam Ki Be_emaani Dekhiye,
Mere Dard Koh Dekhna Ho Gar “Saqib”,
Saarey Mehfil Ki Aankhon Mein Paani Dekhiye.
Dariidaa Daaman= Torn Clothing