Isi Sharaab Ne Ujaadi Hai Zindagi
Isi Ne Dilo Mein Kadi Ki Dewaar Hai
Do Ghut Ke Liye Bhatakta Hai Aadmi
Isi Se Taba Hua Kisi Ka Ghar Sansaar Hai
Chod Jaye Koi To Log Iska Shara Let Hai
Koi Mil Jaye To Ise Hi Muh Se Lagate Hai
Khusi Me‚  Gum Mein Isi Ke Jaam Se
Apna Aur Dosto Ka Pyaar Paate Hai
Kya Yahi Woh Akhiri Chees Hai,
Jo Insaan Aur Aatma Ko Milata Hai
Kya Yahi Woh Jariya Hai..
Jo Khuda Ka Aashish Dilata Hai
Tho Kyun Taras Jata Hai ‘Do Ghut’ke Liye Insaan
Kyun Sharab Ko Hi Gale Lagata Hai
Log Phir Dete Hai Khudha Ka Dosh,
Kya Kabhi Khuda Ise Pine Ki Salah Deta Hai
Nahi‚  Yahi Woh Do Ghut Hai
Jo Insaan Ko Kanto Bare Rasto Pe Tanha , Viraan Chod Jata Hai..