Ishq Mujhko Nahii,Wehshat Hi Sahi,
Meri Wehshat, Teri Shohrat Hi Sahi,
[ Wehshat = Solitude, Shohrat = Fame ]
Qataa Keejiye Naa Taalluq Hum Se,
Kuchh Nahii Hain To Adaavat Hi Sahi,
[ Qataa = Break/intercept, Ta’alluq = Relation/connection,
Adaavat = Hatred/animosity ]
Mere Hone Mein Hain Kya Ruswaayi ?
Ye Wo Majlis Nahi Khalwat Hi Sahi,
[ Majlis = Assembly, Khalwat = Isolation ]
Hum Bhi Dushman To Nahii Hain Apne
Gair Ko Tujh Se Mohabbat Hi Sahi,
Apni Hasti Hi Se Ho, Jo Kuch Ho!
Aagaahii Gar Nahi Ghaflat Hi Sahi,
[ Hastii = Existence, Aagahii = Knowledge/information,
Ghaflat = Negligence ]
Umr Harchand Ke Hai Barq-E-Khiraam,
Dil Ke Khoon Karne Kii Fursat Hi Sahi,
[Barq = Lightning, Khiraam = Manner Of Walking ]
Ham Koii Tarq-E-Wafa Karte Hain,
Na Sahii Ishq, Museebat Hi Sahii,
[ Tarq = Relinquishment ]
Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Daalenge,
Be_niyaazii Terii Aadat Hi Sahi,
[ Tasleem = Greeting/saluting, Khoo = Habit,
Be_niyaazee = Independence ]
Yaar Se Chheda Chalii Jaaye, ‘Asad’
Gar Nahii Wasl To Hasrat Hi Sahi
[ Wasl = Meeting, Hasrat = Desire ]