Ishq Jaise Pairon Mein Ghungaru
Bandhan Bhi, Chanak Bhi
Saaz-E-Khushi Bhi, Gum Ki Bhanak Bhi
Kaheen Zindagi Suhaana Saaz Ban
Jati Hai Aaur Kahin Pairon Mein Bojh
Kaheen In Ghungarun Mein Bandhne Se
Karaar Aata Hai Aaur Kaheen Inke Bhikhar Jaane Se
Ab Kis Ke Naseeb Mein Kaunsa
Karaar Aaya Ye Pehen.Ne Wala Hi Jane
Unse Mile Thi, To Khud Se Juda Hue
Bichade Jo Unse Jazbey Khudaa Hue
Surkhiyan Palkon Pe Thehari Rahiin
Ashq Bewafa The So Ankhon Se Judaa Hue
Khayalon Ke Parindey Udne Lagey Dekho
Abr-E-Nazar Saaf Hai Saare Gile Hawa Hue
Toda Kiye Hum Lamhen Sukun Pane Ko
Ek Ek Kar Ke Dekho Yun Barson Zaayaa Hue
Hum Toh Shukrguzaar Hain Us Ghadi Ke
Jo Jald Khabar Layi Ke Woh Bewafa Hue
Saaz-E-Mohabaat Bahut Kuch Sikha Gaya
Hum Naadaan They Bade Ab Daanaa Hue
Dastaa-E-Ishq-E-Komal Kya Khub Rahi
Ke Na Mashhur Hue Aur Na Ruswaa Hue