Is Zamane Ko Zara Hans-Hans Ke Rulaa Loon
Lamhon Ki Saakh Se Kuch Yaaden Chura Loon-Â…
Ae Azal Chand Pal Ruk,Jo Kuch Apnon Ki Duaa Loon,
Do Pal Ki Jist Ata* Kar,To Gum-E-Ashiqui Bhulaa Loon-Â…Jo Dekh Na Paaun Uski Tadap,To Kaise Apni Bataa Loon,
Uske Palkon Se Kaise Main Apne Ye Ashq Bahaa Loon-Â…
Jaane Se Pehle Hasrat-E-Paabosh* To Khatm Kar Dete,
Ab In Saanson Ka Bojh Main Kab Tak Sambhaaloon-Â…
*Saanson Ki Ikcha,, Love To Live…!
Jo Tere Jumbish-E-Lab*, Sawaal Na Ban Jaayen Kabhi,
Socha Dard-E-Jigar,Andaaz-E-Ghazal Me Chipaa Loon-Â…
*Honthon Ka Hilna,, Mvements Of Lips…!
Meri Mohabbat Hi Unki Bewafaai Ka Sabab Ban Gayi,
Koi Bataaye Ab Aur Main Kya Ulfat Ka Mazaa Loon-Â…
Kabhi Laut V Aayen Wo To Meri Haalat Ka Ilm Na Ho,
To Jaane Se Pehle, Apna Naam-O-Nishaan Mitaa Loon-Â…
Tere Saath V Jayega -ŗGhayal- Eh Farishte,Par Intezar Kar,
Pehle Zamaane Ko Zaraa Andaaz-E-Aashiqui Sikhaa Loon-Â…