Is Shahar Ke Log Andhe Ho Rahe Hai
Isliye Apraadh Dhandhe Ho Rahe Hai
Kal Talaq Jo Log Dete The Dilaasaa
Aaj Wo Arthee Ke Kandhe Ho Rahe Hai
Unko Apna Ghar Banaane Ki Hai Soojhee
Mandiron Ke Naam Chande Ho Rahe Hai
Jo Lagaane Mein Hai Maahir Ek Mazama
Sant Aur Iisaa Ke Bande Ho Rahe Hai
Aap Dil Se Hi Dua De Deejiye
Sochiye Mat Haath Gande Ho Rahe Hai
Qaatilo Munsif Mile Jallaad Se
Be-Asar Phaansee Ke Phande Ho Rahe Hai
Aapne Do Chaar Ghazale Kya Kaheen
Aap To Bas Ik Parinde Ho Rahe Hai