Is Qadr Musalsil Theen Shiddatein Judai Kee
Aaj Pehli Baar Us Se Mein Ne Bewafai Kee
Warna Ub Talak Youn Tha Khwahishoun Kee Baarish Mein
Ya Tou Toot Ker Roya Ya Ghazal Sarai Kee
Tuj Diya Tha Kal Jinko Humne Teree Chahat Mein
Aaj Unse Majbooran Tazah Aashnaai Kee
Ho Chala Tha Jub Bhee Mujhko Ikhtelaaf Apney Say
Tune Kis Gharee Zaalim Meree Humnawayee Kee
Turk Ker Chukay Qasid Koye Namuradaan Ko
Kaun Ub Khabar Laaway Sheher E Aashnai Kee
Tunz O Taana O Tohmat Sub Hunr Hein Nase’h Ke
Aap Se Koi Poochay Hum Ne Kia Burai Kee
Phir Qafs Mein Shor Utha Qaidiyoun Ka Aur Sayaad Ka
Dekhna Ura Dega Phir Khabr Rehai Kee
Dukh Hua Jub Us Dar Per Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Eib Thay Usmein Khoo Na Thee Gidayee Kee