Is Fikra-E-Ashiqi Ka Kuchh Aisa Hai Aser ;
Na Din Ka Pata Hai Mujhe Na Raat Ki Khabar.
Patther Se Ho Gaye Wafa Ki Aag Main Jalker;
Na Chhanw Main Nami‚  Hai Na Dhoop Ka Aser.
Khuda Ke Hathon Bech Di Hai Zindagi Apni;
Na Maut Ka Hi Khauf Hai Na Dusmano Ka Der;
Bus Thodi Door Unke Sath Chalne Do Humein ;
Ho Jayega Tamaam Zindagi Ka Ye Safer.
Jana Hai To Jaana Hai Humein Unke Rubaroo;
Ab Toote Chahein Bijliyan Barse Chahe Qeher.