Is Duniya Mein Aaye The Akele
Jaate Waqt Bhi Honge Hum Akele
Beech Ki Yeh Jo Zindagi Hai
Ise Bhi Jeena Hai Hamen Akele
Lekin Is Zindagi Ke Safar Mein
Kuch Aise Humsafar Milte Hai
Jinke Saath Ke Kuch Haseen Lamhe
Hoton Pe Muskurahat Le Aate Hai
Par Woh Bhi Chhod Jaate Hai
Aur Hum Akele Ho Jaate Hai
Kabhi Kabhi To Woh Muskurahatein
Hoton Se Chipke Rah Jaate Hai
Lekin Kai Baar Aisa Bhi Hota Hai
Muskurahat Hoton Se Khafa Hoke
Chali Jaati Hai Door Hamen Chhodke
Aankhon Se Aasoon Bahne Lagte Hai
Aur Hum Phir Se Akele Hojate Hai