Is Duniya Ko Bas Tasalli Dilane Ke Liye
Ham Haste Hai To Dard Chhipane Ke Liye
Ye Baat Aur Hai Ki Duniya Samajti Nahi
Ji Rahe Hai Kisi Se Wada Nibhane Ke Liye
Kyu Ki Nahi Kar Pate Juba Se Sikayat
Shayar Bane Hai Unko Samjane Ke Liye
Likh To Lete Hai Haal Dil-E-Sikast Ka Par
Sur Nahi Milte Use Gun-Gunane Ke Liye
Logo Ne Liya Hai Sahara Maikhane Ka
Nasha-E-Gam Apna Bhulane Ke Liye
Ham To Roz Kuredte Hai Zakhmo Ko
Gam- E-Jindagi Apni Mitane Ke Liye
Ae Khuda Yu Itni Be-Rahmi Na Kar
Aur Kya Baki Hai Muje Satane Ke Liye
Har Waqt Majbur Karta Hai Sanam Ko
Apne Hi Dard Par Muskane Ke Liye