Intezaar Ka Daur Shab Bhar Chalta Raha
Diya Ghar Ka Sehar Talaq Jalta Raha
Wasl Ki Chaah Kab Se Dil Me Hai
Wo Bas Khawabon Me Aakar Milta Raha
Shaam Ho Aur Phalaq Me Aaye Maahataab
Isi Tamanna Me Din Mera Nikalta Raha
Phasaane Darz Kiye Hain Asqon Se Maine
Aur Wo Berahami Se Panne Palatata Raha
Abron Ne Aab-E-Chasm Mera Chheena Hai
Mausham Bhi Yun Rang Apne Badalta Raha
Is Shahar Me Shaayd Mil Jaaye Tera Maqaan
Musaafir Har Jagah Tera Pata Puchhta Raha