Insan Ki Haqiqut Kya Hai Bas Fana Ho Jana
Is Ki Kismat Hai Zindagi Say Juda Ho Jana
Judaiyoon K Derd Say Hum Waqif Hain Mager
Isi Ko Kehtay Hain Ishq Ki Ibtada Ho Jana
Khush Rukhnay Ko Usay Raqeeb Say Rukheen Hain Marasim
Phir Bhi Qayamut Hai Us Ka Mujh Say Unhi Khafa Ho Jana
Mujh Bemar Ko Rahut Na Aa Jayay Kaheen Aay Dost
Rock Meray Raqeeb Ko Jo Sochta Hai Meri Dawa Ho Jana
Hum Tu Apni Saza Ko Khud Hi Berhayay Bethay Hain
Duayeen Kesay Badleen Ki Ghunahoon Ka Jaza Ho Jana
Is Ibtada-I-Ishq Nay Hi Bay Khaber Ker Rakha Hai
Khuda Janay Kya Rung Layay Ga Is Ishq Ka Intaha Ho Jana
Meri Tarup Shaid Usay Aur Muza Day Rahi Hai
Haeay!Meray Raqeeb Per Roz Roz Uska Fida Ho Jana
Main Ruk Tu Jao Per Dil Ki Khuwahish Hai Chalna
Maza Jo Day Raha Hai Us Ki Awaz Ka Sada Ho Jana
Woo Khud Ko Perwana Nahi Kehta Lakin Hai Zalim Bohut
Day Ker Judayee Mujhay Chahata Hai Mera Shama Ho Jana
Neha !Meray Khondil Ka Rung Kuin Mujhay Dekhta Nahi
Dekhti Hoon Tu Bas Itna K Is Rung Ka Rung-I-Hina Ho Jana