Insaan Ne Bataya Kya Bataya Ho Ke Musalman
Insaan Ne Kiya Paya Aur Kiya Sunaya Hoke Musalman
Paida Hue Islam Ka Naam Ke Le
Zindagi Mien Bitaya Kya Bitaya Hoke Musalman
Kiya Farz Hain Tere Kiya Tune Kiya
Kiya Dunya Ko Samjhaya Hoke Musalman
Dunya Mien Tujhe Kiya Kuch Na Diya
Tune Khuda Ko Kiya Lotaya Hoke Musalman
Yeh Zindagi Bhi Uski Hukm Bhi Us Ka Hai
Us Ne Tujhe Phir Bhi Seekhaya Hoke Musalmaan
Tune Kiya Seekha ,Na Seekha Kuch Mehboob Se
Us Rivayat Ko Kis Ne Barhaya Hoke Musalmaan
Ilm Ki Justuju Kerte Hain Loog Yahan
Par Nabi Dunya Ko Samjhaya Hoke Musalmaan
Jo Jurm Kare Insaan To Pata Hai Silaa
Allah Ne Tu Tujhe Samjhaya Bana Ke Musalmaan
Kabhi Kia Tune Ghoor Kiya Hai Is Lafz Pe
Kiya Matlaab Hai Aur Kiya Tune Paya Hoke Musalmaan
Chahte Hain Tera Karam Ya Raab
Kaha,Par Kis Ne Amal Mien Laya Hoke Musalmaan
Sambhal Jao K Tum Hoo Us Ke Bande
Jis Ko Bhatkoon Ko Rasta Deekhaya Hoke Musalmaan
Mangloo Bakhsh De Ga K Hai Woh Raheem
Tune To Karam Kamaya Hoke Musalmaan
Ban Jao Gar Kehte Hoo Muslim Hoo
Ajj Sabit Karoo Hoke Musalmaan