Insaan Mein Khudi Se Badhker Koi Neeyat Nahi Hoti;
Saadgi Ko Kabhi Khud Se Shikayat Nahi Hoti.
Khoobsoorat Log Khud Badhke Choom Lete Hain;
Aeene Ko Sanwarne Ki Jaroorat Nahi Hoti.
Aksar Wo Raaz Khol Diya Karte Hain;
Zinhein Jhooth Bolne‚  Ki Aadat Nahin Hoti.
Husnwalon Mein Adawat Hi Alag Hoti Hai ;
Her Ek Husn Ko Nazakat Nahin Hoti.
Zindagi Hai To Rafta-Rafta Maza Lijiye Hujoor;
Jaldi Se Badhker Aur Koi Aafat Nahi Hoti.
Kamskam Mehmaan Ki Ijjat Honi Chahiye;
Isteqwaal Se Badhker Koi Dawat Nahi Hoti.
Achha Hai Her Ek Saks Se Miliye Wamohabbat;
Per Her Washer Ki Wajib Sohbat Nahi Hoti.