Insaan Ho Janab Koi Farishta Nahi,
Ho Jate Hai Mujhse Bhi Kaam Ghalat,
Bhale Ghalti Koi Dusra Shaks Kare,
Hu Main Khuwama Khuwaa Badnaam Ghalat,
Na Chhu Kar Aapki Izzat Ko Kharab Kiya,
Na Hi Tere Jahan Pe Humane Azaab Kiya,
Phir Bhi Kyu Lagati Ho Ahal-E-Jahan Ke,
Agey Ahh! Mujh Pe Ilzaam Ghalat,
Aghaz Karo Nekiyon Ka,
Fana Kardo Har Rasta Buraiyoon Ka,
Kyun Ke Hum Sab Ka Shaher-E-Khamoshan,
Main Bazam Hai Ye Duniya Hai Maqaam Ghalat,
Shayari Tu Khuda Ki Muhabbat Main,
Likhi Hai Khuda Ke Walliyoon Ne Bhi,
Phir Bhi Mere Apno Sameet Sab Mujhe,
Kehte Hain Tu Kar Raha Hai Bohat Kaam Ghalat,
Hai Humdum Ne Mujhe Kabhi Bhi Nahi Pilaya,
Apne Jaam-E-Mohabbat Ka Ek Bhi Katra,
De Aye Mere Hamnawa Bhar Ke Apni Jaam-E-Muhabbat,
Ke Piyale Na De Mujhe Sharab Ya Koi Jaam Ghalat,
Pado, Suno Sunao Wo Amaal Karo Ye Likha,
Howa Hai Kitaab-E-Khuda Main “Haseeb”,
Rab-E-Zuljalal Ne Apne Peghambaroon (A.S) Ke,
Dasto Nahi Bheja Hai Tumko Koi Peghaam Ghalat.
By Mirza Haseeb